Bharat Bhushan Pant

ek gardish-e-mudam bhi taqdir mein rahi

Bharat Bhushan Pant

Dehradun, Uttarakhand, India

1958-2019
ik gardish-e-mudām bhī taqdīr meñ rahī
gard-e-safar bhī paañv kī zanjīr meñ rahī
ḳhvāboñ ke intiḳhāb meñ kyā chuuk ho ga.ī
har baar ik shikastagī ta.abīr meñ rahī
rañgoñ kā tāl-mel bahut ḳhuub thā magar
phir bhī koī kamī tirī tasvīr meñ rahī
chāragaroñ se dard kā darmāñ na ho sakā
allāh jaane kyā kamī tadbīr meñ rahī
kuchh der tak to zaḳhm se uljhī rahī davā
kuchh der tak to dard kī tāsīr meñ rahī
qātil ne saare daaġh to paanī se dho diye
taaza lahū kī bū jo thī shamshīr meñ rahī
sho.ala-bayānī go mirā tarz-e-suḳhan nahīñ
ik aañch sī magar mirī tahrīr meñ rahī
Top Urdushayar.com