rishtoñ ke jab taar ulajhne lagte haiñ
aapas meñ ghar-bār ulajhne lagte haiñ
maazī kī āñkhoñ meñ jhāñk ke dekhūñ to
kuchh chehre har baar ulajhne lagte haiñ
saal meñ ik aisā mausam bhī aatā hai
phūloñ se hī ḳhaar ulajhne lagte haiñ
ghar kī tanhā.ī meñ apne-āp se ham
ban kar ik dīvār ulajhne lagte haiñ
ye sab to duniyā meñ hotā rahtā hai
ham ḳhud se be-kār ulajhne lagte haiñ
kab tak apnā haal batā.eñ logoñ ko
tañg aa kar bīmār ulajhne lagte haiñ
jab dariyā kā koī chhor nahīñ miltā
kashtī se patvār ulajhne lagte haiñ
kuchh ḳhabroñ se itnī vahshat hotī hai
hāthoñ se aḳhbār ulajhne lagte haiñ
koī kahānī jab bojhal ho jaatī hai
nāTak ke kirdār ulajhne lagte haiñ