chhoḌ kar vo ham ko tanhā kis jahāñ meñ jā basā
laakh us ko milnā chāhā par rahā vo nā-rasā
sach hī kahtā thā hameñ vo chhoḌ jab maiñ jā.ūñgā
mujh ko DhūñDā tum karoge har galī meñ jā-ba-jā
tab hameñ dikhlāvā lagtā thā vo māthā chūmnā
aaj jis ke vāste hai dil meñ mere ishtihā
chhoḌ kar jab vo gayā tab saare dushman ho ga.e
phir hameñ rusvā kiyā thā mil ke sab ne nāravā
tere hote to na himmat thī kisī kī kuchh kahe
ba.ad tere sab ke lahje ho ga.e the nāravā
kis tarah TuuTī qayāmat ham se mat ye pūchhnā
ab nahīñ hai sabr baaqī dard kī hai intihā
ai ḳhudā shikva nahīñ 'sā.il' ko terī zaat se
maañ mirī ko baḳhsh de tū tujh se hai bas ye duā