ham tark-e-ta.alluq kā gilā bhī nahīñ karte
tum itne ḳhafā ho ki jafā bhī nahīñ karte
tum shauq se elān-e-jafā par raho nāzāñ
ham jur.at-e-iz.hār-e-vafā bhī nahīñ karte
maanā ki hañsī bhī hai adā aap kī lekin
itnā kisī bekas pe hañsā bhī nahīñ karte
ham jur.at-e-guftār ke qaa.il to haiñ lekin
har baat sar-e-bazm kahā bhī nahīñ karte
har haal meñ maqsad hai safar mahv-e-safar haiñ
nākāmi-e-paiham kā gilā bhī nahīñ karte
muddat se hai ḳhāmosh fazā dār-o-rasan kī
ab jurm-e-vafā ahl-e-vafā bhī nahīñ karte
kyā jāniye kis rañg meñ hai shams 'zubairī'
but ek taraf zikr-e-ḳhudā bhī nahīñ karte