kuchh is tarah vo nigāheñ churā.e jaate haiñ
ki aur bhī mire nazdīk aa.e jaate haiñ
is iltifāt-e-gurezāñ ko naam kyā diije
javāb dete nahīñ muskurā.e jaate haiñ
nigāh-e-lutf se dekho na ahl-e-dil kī taraf
diloñ ke raaz zabānoñ pe aa.e jaate haiñ
vo jin se tark-e-ta.alluq ko ik zamāna huā
na jaane aaj vo kyuuñ yaad aa.e jaate haiñ
tumhārī bazm kī kuchh aur baat hai varna
ham aise log kahīñ bin bulā.e jaate haiñ
ye dil ke zaḳhm bhī kitne ajiib haiñ ai shams'
bahār ho ki ḳhizāñ muskurā.e jaate haiñ