Motee Ahmad Mujtaba

ek mohabbat thi jo thi tartib mein

Motee Ahmad Mujtaba

1994
ik mohabbat thī jo thī tartīb meñ
varna shai thī kab koī tartīb meñ
ham tujhe kaise banāte ham-safar
ham jiye the zindagī tartīb meñ
maut kā kuchh Dar nahīñ hotā mujhe
zindagī merī kaTī tartīb meñ
ab tū apne ishq kā qissa sunā
dāstāñ apnī to thī tartīb meñ
dil se us kī yaad ko ruḳhsat karo
taaki aa.e zindagī tartīb meñ
taaki ab apnā nasheman ban sake
ḳhud ko le aa to kisī tartīb meñ
vaqt par tāroñ ne chhoḌā āsmāñ
raat din meñ Dhal ga.ī tartīb meñ
naam terā aur mirā joḌā gayā
aur aa.ī har ḳhushī tartīb meñ
chhoḌ 'ahmad' ab ye be-tartībiyāñ
ḳhud ko ab le aa kisī tartīb meñ
Top Urdushayar.com