Motee Ahmad Mujtaba

DhunDte ho dil-e-figar mein kya

Motee Ahmad Mujtaba

1994
DhūñDte ho dil-e-figār meñ kyā
ho bhī saktā hai is mazār meñ kyā
lafz karte haiñ raqs chāroñ taraf
likhtā rahtā huuñ maiñ ḳhumār meñ kyā
martabe rif.ateñ maqām aur naam
aur hotā hai inkisār meñ kyā
chand sāñsoñ kī mohlatoñ ke evaz
us ne baḳhshā hai intizār meñ kyā
kis kī ḳhushbū mujhe bulātī hai
koī mahkā mire madār meñ kyā
jin kī miTTī ḳhizāñ se uTThī ho
mil sakegā unheñ bahār meñ kyā
chiḌh hai kyoñ ittihād se tum ko
dost barakat hai intishār meñ kyā
Dāchī vaale chale ga.e kab ke
sar khapāoge ab ġhubār meñ kyā
saath le kar nahīñ gayā kuchh maiñ
DhūñDte ho mire mazār meñ kyā
raat Duubī hai kyoñ añdhere meñ
chāñd niklā nahīñ dayār meñ kyā
Top Urdushayar.com