mujhe zabān zarūrat thī ik sadā ke liye
koī na thā mire ahbāb meñ vafā ke liye
maiñ tere hijr meñ hī mar gayā thā merī jaañ
ye zindagī maiñ jiyā huuñ faqat sazā ke liye
mujhe nahīñ hai zarūrat ye aish-o-ishrat ab
taḌap rahā hai ye dil bas tirī adā ke liye
tirā hī naqsh ubhartā rahā lakīroñ meñ
uThā.e haath jo maiñ ne kabhī duā ke liye
samajh nahīñ mujhe aatā ye falsafa 'ahmad'
kisī ke dar pe haiñ kyoñ māñgte ḳhudā ke liye