dushman-e-jāñ koī banā hī nahīñ
itne ham lā.iq-e-jafā hī nahīñ
aazmā lo ki dil ko chain aa.e
ye na kahnā kahīñ vafā hī nahīñ
ham pashīmāñ haiñ vo bhī hairāñ haiñ
aisā tūfāñ kabhī uThā hī nahīñ
jaane kyuuñ un se milte rahte haiñ
ḳhush vo kyā hoñge jab ḳhafā hī nahīñ
tum ne ik dāstāñ banā Daalī
ham ne to rāz-e-ġham kahā hī nahīñ
ġham-gusār is tarah se milte haiñ
jaise duniyā meñ kuchh huā hī nahīñ
ai junūñ kaun sī ye manzil hai
kyā kareñ kuchh hameñ patā hī nahīñ
maut ke din qarīb aa pahuñche
haa.e ham ne to kuchh kiyā hī nahīñ