Yusuf Hasan

kitne pech-o-tab mein zanjir hona hai mujhe

Yusuf Hasan

1948-1918
kitne pech-o-tāb meñ zanjīr honā hai mujhe
gard meñ gum ḳhvāb kī ta.abīr honā hai mujhe
jis kī tābinda taḌap sadiyoñ meñ bhī sīnoñ meñ bhī
ek aise lamhe kī tafsīr honā hai mujhe
ḳhasta-dam hote hue dīvār-o-dar se kyā kahūñ
kaise ḳhisht-o-ḳhāk se ta.amīr honā hai mujhe
shahr ke me.aar se maiñ jo bhī huuñ jaisā bhī huuñ
apnī hastī se tirī tauqīr honā hai mujhe
ik zamāne ke liye harf-e-ġhalat Thahrā huuñ maiñ
ik zamāne kā ḳhat-e-taqdīr honā hai mujhe
'yūsuf' apne dard kī sūrat-garī karte hue
ḳhud bhī lauh-e-ḳhāk par tasvīr honā hai mujhe
Top Urdushayar.com