Akbar Allahabadi

bahut raha hai kabhi lutf-e-yar hum par bhi

Akbar Allahabadi

Allahabad, Uttar pradesh, India

1846-1921
bahut rahā hai kabhī lutf-e-yār ham par bhī
guzar chukī hai ye fasl-e-bahār ham par bhī
urūs-e-dahr ko aayā thā pyaar ham par bhī
ye besvā thī kisī shab nisār ham par bhī
biThā chukā hai zamāna hameñ bhī masnad par
huā kiye haiñ javāhir nisār ham par bhī
adū ko bhī jo banāyā hai tum ne mahram-e-rāz
to faḳhr kyā jo huā e'tibār ham par bhī
ḳhatā kisī kī ho lekin khulī jo un kī zabāñ
to ho hī jaate haiñ do ek vaar ham par bhī
ham aise rind magar ye zamāna hai vo ġhazab
ki Daal hī diyā duniyā kā baar ham par bhī
hameñ bhī ātish-e-ulfat jalā chukī 'akbar'
harām ho ga.ī dozaḳh kī naar ham par bhī
Top Urdushayar.com