Akbar Allahabadi

haram kya dair kya donon ye viran hote jate hain

Akbar Allahabadi

Allahabad, Uttar pradesh, India

1846-1921
haram kyā dair kyā donoñ ye vīrāñ hote jaate haiñ
tumhāre mo'taqid gabrū musalmāñ hote jaate haiñ
alag sab se nazar nīchī ḳhirām āhista āhista
vo mujh ko dafn kar ke ab pashemāñ hote jaate haiñ
sivā tiflī se bhī haiñ bholī bāteñ ab javānī meñ
qayāmat hai ki din par din vo nādāñ hote jaate haiñ
kahāñ se lā.ūñgā ḳhūn-e-jigar un ke khilāne ko
hazāroñ tarah ke ġham dil ke mehmāñ hote jaate haiñ
ḳharābī ḳhana-hā-e-aish kī hai daur-e-gardūñ meñ
jo baaqī rah ga.e haiñ vo bhī vīrāñ hote jaate haiñ
bayāñ maiñ kyā karūñ dil khol kar shauq-e-shahādat ko
abhī se aap to shamshīr-e-uryāñ hote jaate haiñ
ġhazab kī yaad meñ ayyāriyāñ vallāh tum ko bhī
ġharaz qaa.el tumhāre ham to ai jaañ hote jaate haiñ
udhar ham se bhī bāteñ aap karte haiñ lagāvaT kī
udhar ġhairoñ se bhī kuchh ahd-o-paimāñ hote jaate haiñ
Top Urdushayar.com