Akbar Allahabadi

hawa-e-shab bhi hai ambar-afshan uruj bhi hai mah-e-mubin ka

Akbar Allahabadi

Allahabad, Uttar pradesh, India

1846-1921
havā-e-shab bhī hai ambar-afshāñ uruuj bhī hai mah-e-mubīñ kā
nisār hone kī do ijāzat mahal nahīñ hai nahīñ nahīñ kā
agar ho zauq-e-sujūd paidā sitāra ho auj par jabīñ kā
nishān-e-sajda zamīn par ho to faḳhr hai vo ruḳh-e-zamīñ kā
sabā bhī us gul ke paas aa.ī to mere dil ko huā ye khaTkā
koī shagūfa na ye khilā.e payām laa.ī na ho kahīñ kā
na mehr o mah par mirī nazar hai na lāla-o-gul kī kuchh ḳhabar hai
faroġh-e-dil ke liye hai kaafī tasavvur us rū-e-ātishīñ kā
na ilm-e-fitrat meñ tum ho māhir na zauq-e-tā.at hai tum se zāhir
ye be-usūlī bahut burī hai tumheñ na rakkhegī ye kahīñ kā
Top Urdushayar.com