Akbar Allahabadi

tumne bimar-e-mohabbat ko abhi kya dekha

Akbar Allahabadi

Allahabad, Uttar pradesh, India

1846-1921
tum ne bīmār-e-mohabbat ko abhī kyā dekhā
jo ye kahte hue jaate ho ki dekhā dekhā
tifl-e-dil ko mire kyā jaane lagī kis kī nazar
maiñ ne kambaḳht ko do din bhī na achchhā dekhā
le gayā thā taraf-e-gor-e-ġharībāñ dil-e-zār
kyā kaheñ tum se jo kuchh vaañ kā tamāshā dekhā
vo jo the raunaq-e-ābādī-e-gulzār-e-jahāñ
sar se pā tak unheñ ḳhāk-e-rah-e-sahrā dekhā
kal talak mahfil-e-ishrat meñ jo the sadr-nashīñ
qabr meñ aaj unheñ be-kas-o-tanhā dekhā
bas-ki nairañgī-e-ālam pe use hairat thī
ā.īna ḳhāk-e-sikandar ko sarāpā dekhā
sar-e-jamshed ke kaase meñ bharī thī hasrat
yaas ko mo.atakif-e-turbat-e-dārā dekhā
Top Urdushayar.com