Akbar Allahabadi

na hasil hua sabr-o-aram dil ka

Akbar Allahabadi

Allahabad, Uttar pradesh, India

1846-1921
na hāsil huā sabr-o-ārām dil kā
na niklā kabhī tum se kuchh kaam dil kā
mohabbat kā nashsha rahe kyuuñ na har-dam
bharā hai mai-e-ishq se jaam dil kā
phañsāyā to āñkhoñ ne dām-e-balā meñ
magar ishq meñ ho gayā naam dil kā
huā ḳhvāb rusvā ye ishq-e-butāñ meñ
ḳhudā hī hai ab mere badnām dil kā
ye bāñkī adā.eñ ye tirchhī nigāheñ
yahī le ga.iiñ sabr-o-ārām dil kā
dhuāñ pahle uThtā thā āġhāz thā vo
huā ḳhaak ab ye hai anjām dil kā
jab āġhāz-e-ulfat hī meñ jal rahā hai
to kyā ḳhaak batlā.ūñ anjām dil kā
ḳhudā ke liye pher do mujh ko sāhab
jo sarkār meñ kuchh na ho kaam dil kā
pas-e-marg un par khulā hāl-e-ulfat
ga.ī le ke ruuh apnī paiġhām dil kā
taḌaptā huā yuuñ na paayā hamesha
kahūñ kyā maiñ āġhāz-o-anjām dil kā
dil us be-vafā ko jo dete ho 'akbar'
to kuchh soch lo pahle anjām dil kā
Top Urdushayar.com