har nazar meñ hai asāsa apnā
chāk-dar-chāk hai ḳhema apnā
koī partav hai na saaya us kā
jis ke hone se hai honā apnā
kis kī lau rāh-e-sahar dekhegī
shaam kī shaam hai sho.ala apnā
lipTe jaate haiñ kināroñ se bhī
aur dariyā pe bhī da.avā apnā
chhoḌ baiThe haiñ faqīrī lekin
abhī toḌā nahīñ kaasa apnā
dar-e-ḳhusrav pe chalā hai farhād
rehn rakh aa.e na tesha apnā
kin gumānoñ meñ ghire ho 'yūsuf'
kabhī dekho to sarāpā apnā