merī taqdīr muāfiq na thī tadbīr ke saath
khul ga.ī aañkh nigahbāñ kī bhī zanjīr ke saath
khul gayā mus.haf-e-ruḳhsār-e-butān-e-maġhrib
ho ga.e shaiḳh bhī hāzir na.ī tafsīr ke saath
nā-tavānī mirī dekhī to musavvir ne kahā
Dar hai tum bhī kahīñ khiñch aao na tasvīr ke saath
ho gayā tā.ir-e-dil said-e-nigāh-e-be-qasd
sa.ī-e-bāzū kī yahāñ shart na thī tiir ke saath
lahza lahza hai taraqqī pe tirā husn-o-jamāl
jis ko shak ho tujhe dekhe tirī tasvīr ke saath
ba.ad sayyad ke maiñ collage kā karūñ kyā darshan
ab mohabbat na rahī is but-e-be-pīr ke saath
maiñ huuñ kyā chiiz jo us tarz pe jā.ūñ 'akbar'
'nāsiḳh' o 'zauq' bhī jab chal na sake 'mīr' ke saath