Akbar Allahabadi

har ek ye kahta hai ab kar-e-din to kuchh bhi nahin

Akbar Allahabadi

Allahabad, Uttar pradesh, India

1846-1921
har ik ye kahtā hai ab kār-e-dīñ to kuchh bhī nahīñ
ye sach bhī hai ki mazā be-yaqīñ to kuchh bhī nahīñ
tamām umr yahāñ ḳhaak uḌā ke dekh liyā
ab āsamān ko dekhūñ zamīñ to kuchh bhī nahīñ
mirī nazar meñ to bas hai unhīñ se raunaq-e-bazm
vahī nahīñ haiñ jo ai ham-nashīñ to kuchh bhī nahīñ
haram meñ mujh ko nazar aa.e sirf zāhid-e-ḳhushk
makān ḳhuub hai lekin makīñ to kuchh bhī nahīñ
tire laboñ se hai albatta ik halāvat-e-zīst
nabāt-e-qand-e-shakar añgbīñ to kuchh bhī nahīñ
dimāġh ab to misoñ kā hai charḳh-e-chārum par
baḌhā diyā mirī ḳhvāhish ne thiiñ to kuchh bhī nahīñ
ba-qaul-e-hazrat-e-'mahshar' kalām shā.er kā
pasand aa.e to sab kuchh nahīñ to kuchh bhī nahīñ
vo kahte haiñ ki tumhīñ ho jo kuchh ho ai 'akbar'
ham apne dil meñ haiñ kahte hamīñ to kuchh bhī nahīñ
Top Urdushayar.com