dil ho ḳharāb diin pe jo kuchh asar paḌe
ab kār-e-āshiqī to bahar-kaif kar paḌe
ishq-e-butāñ kā diin pe jo kuchh asar paḌe
ab to nibāhnā hai jab ik kaam kar paḌe
maz.hab chhuḌāyā ishva-e-duniyā ne shaiḳh se
dekhī jo rail uuñT se āḳhir utar paḌe
betābiyāñ nasīb na thiiñ varna ham-nashīñ
ye kyā zarūr thā ki unhīñ par nazar paḌe
behtar yahī hai qasd udhar kā kareñ na vo
aisā na ho ki raah meñ dushman kā ghar paḌe
ham chāhte haiñ mel vajūd-o-adam meñ ho
mumkin to hai jo beach meñ un kī kamar paḌe
daanā vahī hai dil jo kare aap kā ḳhayāl
biinā vahī nazar hai ki jo aap par paḌe
honī na chāhiye thī mohabbat magar huī
paḌnā na chāhiye thā ġhazab meñ magar paḌe
shaitān kī na maan jo rāhat-nasīb ho
allāh ko pukār musībat agar paḌe
nikle agar haram se to 'akbar' ke ghar paḌe