Akbar Allahabadi

ummid TuTi hui hai meri jo dil mera tha wo mar chuka hai

Akbar Allahabadi

Allahabad, Uttar pradesh, India

1846-1921
ummīd TuuTī huī hai merī jo dil mirā thā vo mar chukā hai
jo zindagānī ko talḳh kar de vo vaqt mujh par guzar chukā hai
agarche siine meñ saañs bhī hai nahīñ tabī.at meñ jaan baaqī
ajal ko hai der ik nazar kī falak to kaam apnā kar chukā hai
ġharīb-ḳhāne kī ye udāsī ye nā-durustī nahīñ qadīmī
chahal pahal bhī kabhī yahāñ thī kabhī ye ghar bhī sañvar chukā hai
ye siina jis meñ ye daaġh meñ ab masarratoñ kā kabhī thā maḳhzan
vo dil jo armān se bharā thā ḳhushī se us meñ Thahar chukā hai
ġharīb akbar ke gard kyuuñ meñ ḳhayāl vaa.iz se koī kah de
use Darāte ho maut se kyā vo zindagī hī se Dar chukā hai
Top Urdushayar.com