Akbar Allahabadi

ishq-e-but mein kufr ka mujhko adab karna paDa

Akbar Allahabadi

Allahabad, Uttar pradesh, India

1846-1921
ishq-e-but meñ kufr kā mujh ko adab karnā paḌā
jo barhaman ne kahā āḳhir vo sab karnā paḌā
sabr karnā furqat-e-mahbūb meñ samjhe the sahl
khul gayā apnī samajh kā haal jab karnā paḌā
tajrabe ne hubb-e-duniyā se sikhāyā ehtirāz
pahle kahte the faqat muñh se aur ab karnā paḌā
shaiḳh kī majlis meñ bhī muflis kī kuchh pursish nahīñ
diin kī ḳhātir se duniyā ko talab karnā paḌā
kyā kahūñ be-ḳhud huā maiñ kis nigāh-e-mast se
aql ko bhī merī hastī kā adab karnā paḌā
iqtizā fitrat kā ruktā hai kahīñ ai ham-nashīñ
shaiḳh-sāhib ko bhī āḳhir kār-e-shab karnā paḌā
ālam-e-hastī ko thā madd-e-nazar katmān-e-rāz
ek shai ko dūsrī shai kā sabab karnā paḌā
sher ġhairoñ ke use mutlaq nahīñ aa.e pasand
hazrat-e-'akbar' ko bil-āḳhir talab karnā paḌā
Top Urdushayar.com