Akbar Allahabadi

duniya mein hun duniya ka talabgar nahin hun

Akbar Allahabadi

Allahabad, Uttar pradesh, India

1846-1921
duniyā meñ huuñ duniyā kā talabgār nahīñ huuñ
bāzār se guzrā huuñ ḳharīdār nahīñ huuñ
zinda huuñ magar ziist kī lazzat nahīñ baaqī
har-chand ki huuñ hosh meñ hushyār nahīñ huuñ
is ḳhāna-e-hastī se guzar jā.ūñgā be-laus
saaya huuñ faqat naqsh-ba-dīvār nahīñ huuñ
afsurda huuñ ibrat se davā kī nahīñ hājat
ġham kā mujhe ye zo.af hai bīmār nahīñ huuñ
vo gul huuñ ḳhizāñ ne jise barbād kiyā hai
uljhūñ kisī dāman se maiñ vo ḳhaar nahīñ huuñ
yā rab mujhe mahfūz rakh us but ke sitam se
maiñ us kī ināyat kā talabgār nahīñ huuñ
go dāva-e-taqvā nahīñ dargāh-e-ḳhudā meñ
but jis se hoñ ḳhush aisā gunahgār nahīñ huuñ
afsurdagī o zo.af kī kuchh had nahīñ 'akbar'
kāfir ke muqābil meñ bhī dīñ-dār nahīñ huuñ
Top Urdushayar.com