dasht-e-ġhurbat hai alālat bhī hai tanhā.ī bhī
aur un sab pe fuzūñ bādiya-paimā.ī bhī
ḳhvāb-e-rāhat hai kahāñ niiñd bhī aatī nahīñ ab
bas uchaT jaane ko aa.ī jo kabhī aa.ī bhī
yaad hai mujh ko vo be-fikrī o āġhāz-e-shabāb
suḳhan-ārā.ī bhī thī anjuman-ārā.ī bhī
nigah-e-shauq-o-tamannā kī vo dilkash thī kamand
jis se ho jaate the raam āhū-e-sahrā.ī bhī
ham sanam-ḳhāna jahāñ karte the apnā qaa.im
phir khaḌe hote the vaañ huur ke shaidā.ī bhī
ab na vo umr na vo log na vo lail o nahār
bujh ga.ī tab.a kabhī josh pe gar aa.ī bhī
ab to shubhe bhī mujhe dev nazar aate haiñ
us zamāne meñ parī-zād thī rusvā.ī bhī
kaam kī baat jo kahnī ho vo kah lo 'akbar'
dam meñ chhin jā.egī ye tāqat-e-goyā.ī bhī