aaj ārā.ish-e-gesū-e-dotā hotī hai
phir mirī jaan giraftār-e-balā hotī hai
shauq-e-pā-bosī-e-jānāñ mujhe baaqī hai hanūz
ghaas jo ugtī hai turbat pe hinā hotī hai
phir kisī kaam kā baaqī nahīñ rahtā insāñ
sach to ye hai ki mohabbat bhī balā hotī hai
jo zamīñ kūcha-e-qātil meñ nikaltī hai na.ī
vaqf vo bahr-e-mazār-e-shohadā hotī hai
jis ne dekhī ho vo chitvan koī us se pūchhe
jaan kyūñ-kar hadaf-e-tīr-e-qazā hotī hai
naza.a kā vaqt burā vaqt hai ḳhāliq kī panāh
hai vo saa.at ki qayāmat se sivā hotī hai
ruuh to ek taraf hotī hai ruḳhsat tan se
aarzū ek taraf dil se judā hotī hai
ḳhud samajhtā huuñ ki rone se bhalā kyā hāsil
par karūñ kyā yūñhī taskīn zarā hotī hai
rauñdte phirte haiñ vo majma-e-aġhyār ke saath
ḳhuub tauqīr-e-mazār-e-shohadā hotī hai
murġh-e-bismil kī tarah loT gayā dil merā
nigah-e-nāz kī tāsīr bhī kyā hotī hai
naala kar lene deñ lillāh na chheḌeñ ahbāb
zabt kartā huuñ to taklīf sivā hotī hai
jism to ḳhaak meñ mil jaate hue dekhte haiñ
ruuh kyā jaane kidhar jaatī hai kyā hotī hai
huuñ fareb-e-sitam-e-yār kā qaa.il 'akbar'
marte marte na khulā ye ki jafā hotī hai