aañkh meñ Thahrā huā sapnā bikhar bhī jā.egā
rāt-bhar meñ niiñd kā nashsha utar bhī jā.egā
din kī chamkīlī sadāoñ se gurezāñ rāh-rau
shaam kī sargoshiyāñ sun kar Thahar bhī jā.egā
jism-o-jāñ meñ jaltī-bujhtī larzisheñ rah jā.eñgī
vo mire ehsās ko chhūkar guzar bhī jā.egā
be-ta.alluq sī karegā guftugū mujh se magar
us kā lahja us kī bātoñ se mukar bhī jā.egā
vo bhī hogā āhaToñ kā muntazir merī tarah
aur faqat jhoñkā havā kā us ke ghar bhī jā.egā