rañg-e-sharāb se mirī niyyat badal ga.ī
vaa.iz kī baat rah ga.ī saaqī kī chal ga.ī
tayyār the namāz pe ham sun ke zikr-e-hūr
jalva butoñ kā dekh ke niyyat badal ga.ī
machhlī ne Dhiil paa.ī hai luqme pe shaad hai
sayyād mutma.in hai ki kāñTā nigal ga.ī
chamkā tirā jamāl jo mahfil meñ vaqt-e-shām
parvāna be-qarār huā sham.a jal ga.ī
uqbā kī bāz-purs kā jaatā rahā ḳhayāl
duniyā kī lazzatoñ meñ tabī.at bahal ga.ī
hasrat bahut taraqqī-e-duḳhtar kī thī unheñ
parda jo uTh gayā to vo āḳhir nikal ga.ī