kahāñ vo ab lutf-e-bāhamī hai mohabbatoñ meñ bahut kamī hai
chalī hai kaisī havā ilāhī ki har tabī.at meñ barhamī hai
mirī vafā meñ hai kyā tazalzul mirī itā.at meñ kyā kamī hai
ye kyuuñ nigāheñ phirī haiñ mujh se mizāj meñ kyuuñ ye barhamī hai
vahī hai fazl-e-ḳhudā se ab tak taraqqi-e-kār-e-husn o ulfat
na vo haiñ mashq-e-sitam meñ qāsir na ḳhūn-e-dil kī yahāñ kamī hai
ajiib jalve haiñ hosh dushman ki vahm ke bhī qadam ruke haiñ
ajiib manzar haiñ hairat-afzā nazar jahāñ thī vahīñ thamī hai
na koī takrīm-e-bāhamī hai na pyaar baaqī hai ab diloñ meñ
ye sirf tahrīr meñ Dear sir hai yā janāb-e-mukarramī hai
kahāñ ke muslim kahāñ ke hindū bhulā.ī haiñ sab ne aglī rasmeñ
aqīde sab ke haiñ tīn-terah na gyārahvīñ hai na ashTamī hai
nazar mirī aur hī taraf hai hazār rañg-e-zamāna badle
hazār bāteñ banā.e nāseh jamī hai dil meñ jo kuchh jamī hai
agarche maiñ riñd-e-mohtaram huuñ magar ise shaiḳh se na pūchho
ki un ke aage to is zamāne meñ saarī duniyā jahannamī hai