maz.hab kā ho kyūñkar ilm-o-amal dil hī nahīñ bhaa.ī ek taraf
cricket kī khilā.ī ek taraf collage kī paḌhā.ī ek taraf
kyā zauq-e-ibādat ho un ko jo bas ke laboñ ke shaidā haiñ
halvā-e-bahishtī ek taraf hotel kī miThā.ī ek taraf
tā.ūn-o-tap aur khaTmal machchhar sab kuchh hai ye paidā kīchaḌ se
bambe kī ravānī ek taraf aur saarī safā.ī ek taraf
maz.hab kā to dam vo bharte haiñ be-parda butoñ ko karte haiñ
islām kā da.avā ek taraf ye kāfir-adā.ī ek taraf
har samt to hai ek dām-e-balā rah sakte haiñ ḳhush kis tarah bhalā
aġhyār kī kāvish ek taraf aapas kī laḌā.ī ek taraf
kyā kaam chale kyā rañg jame kyā baat bane kaun us kī sune
hai 'akbar'-e-bekas ek taraf aur saarī ḳhudā.ī ek taraf
fariyād kiye jā ai 'akbar' kuchh ho hī rahegā āḳhir-kār
allāh se tauba ek taraf sāhab kī duhā.ī ek taraf