Akbar Allahabadi

aankhen mujhe talwon se wo malne nahin dete

Akbar Allahabadi

Allahabad, Uttar pradesh, India

1846-1921
āñkheñ mujhe talvoñ se vo malne nahīñ dete
armān mire dil ke nikalne nahīñ dete
ḳhātir se tirī yaad ko Talne nahīñ dete
sach hai ki hamīñ dil ko sambhalne nahīñ dete
kis naaz se kahte haiñ vo jhuñjhlā ke shab-e-vasl
tum to hameñ karvaT bhī badalne nahīñ dete
parvānoñ ne fānūs ko dekhā to ye bole
kyuuñ ham ko jalāte ho ki jalne nahīñ dete
hairān huuñ kis tarah karūñ arz-e-tamannā
dushman ko to pahlū se vo Talne nahīñ dete
dil vo hai ki fariyād se labrez hai har vaqt
ham vo haiñ ki kuchh muñh se nikalne nahīñ dete
garmi-e-mohabbat meñ vo haiñ aah se māne.a
pañkhā nafas-e-sard kā jhalne nahīñ dete
Top Urdushayar.com