unheñ nigāh hai apne jamāl hī kī taraf
nazar uThā ke nahīñ dekhte kisī kī taraf
tavajjoh apnī ho kyā fann-e-shā.irī kī taraf
nazar har ek kī jaatī hai aib hī kī taraf
likhā huā hai jo ronā mire muqaddar meñ
ḳhayāl tak nahīñ jaatā kabhī hañsī kī taraf
tumhārā saaya bhī jo log dekh lete haiñ
vo aañkh uThā ke nahīñ dekhte parī kī taraf
balā meñ phañstā hai dil muft jaan jaatī hai
ḳhudā kisī ko na le jaa.e us galī kī taraf
kabhī jo hotī hai takrār ġhair se ham se
to dil se hote ho dar-parda tum usī kī taraf
nigāh paḌtī hai un par tamām mahfil kī
vo aañkh uThā ke nahīñ dekhte kisī kī taraf
nigāh us but-e-ḳhud-bīñ kī hai mire dil par
na aa.ine kī taraf hai na aarsī kī taraf
qubūl kījiye lillāh tohfa-e-dil ko
nazar na kījiye is kī shikastagī kī taraf
yahī nazar hai jo ab qātil-e-zamāna huī
yahī nazar hai ki uThtī na thī kisī kī taraf
ġharīb-ḳhāna meñ lillāh do-ghaḌī baiTho
bahut dinoñ meñ tum aa.e ho is galī kī taraf
zarā sī der hī ho jā.egī to kyā hogā
ghaḌī ghaḌī na uThāo nazar ghaḌī kī taraf
jo ghar meñ pūchhe koī ḳhauf kyā hai kah denā
chale ga.e the Tahalte hue kisī kī taraf
hazār jalva-e-husn-e-butāñ ho ai 'akbar'
tum apnā dhyān lagā.e raho usī kī taraf