ġhamza nahīñ hotā ki ishārā nahīñ hotā
aañkh un se jo miltī hai to kyā kyā nahīñ hotā
jalva na ho ma.anī kā to sūrat kā asar kyā
bulbul gul-e-tasvīr kā shaidā nahīñ hotā
allāh bachā.e maraz-e-ishq se dil ko
sunte haiñ ki ye āriza achchhā nahīñ hotā
tashbīh tire chehre ko kyā duuñ gul-e-tar se
hotā hai shagufta magar itnā nahīñ hotā
maiñ naza.a meñ huuñ aa.eñ to ehsān hai un kā
lekin ye samajh leñ ki tamāshā nahīñ hotā
ham aah bhī karte haiñ to ho jaate haiñ badnām
vo qatl bhī karte haiñ to charchā nahīñ hotā