dil mirā jis se bahaltā koī aisā na milā
but ke bande mile allāh kā bandā na milā
bazm-e-yārāñ se phirī bād-e-bahārī māyūs
ek sar bhī use āmāda-e-saudā na milā
gul ke ḳhvāhāñ to nazar aa.e bahut itr-farosh
tālib-e-zamzama-e-bulbul-e-shaidā na milā
vaah kyā raah dikhā.ī hai hameñ murshid ne
kar diyā kaabe ko gum aur kalīsā na milā
rañg chehre kā to collage ne bhī rakkhā qaa.im
rañg-e-bātin meñ magar baap se beTā na milā
sayyad uTThe jo gazette le ke to lākhoñ laa.e
shaiḳh qur.ān dikhāte phire paisā na milā
hoshyāroñ meñ to ik ik se sivā haiñ 'akbar'
mujh ko dīvānoñ meñ lekin koī tujh sā na milā