Akbar Allahabadi

tariq-e-ishq mein mujhko koi kaamil nahin milta

Akbar Allahabadi

Allahabad, Uttar pradesh, India

1846-1921
tarīq-e-ishq meñ mujh ko koī kāmil nahīñ miltā
ga.e farhād o majnūñ ab kisī se dil nahīñ miltā
bharī hai anjuman lekin kisī se dil nahīñ miltā
hamīñ meñ aa gayā kuchh naqs yā kāmil nahīñ miltā
purānī raushnī meñ aur na.ī meñ farq itnā hai
use kashtī nahīñ miltī ise sāhil nahīñ miltā
pahuñchnā daad ko mazlūm kā mushkil hī hotā hai
kabhī qaazī nahīñ milte kabhī qātil nahīñ miltā
harīfoñ par ḳhazāne haiñ khule yaañ hijr-e-gesū hai
vahāñ pe bil hai aur yaañ saañp kā bhī bil nahīñ miltā
ye husn o ishq hī kā kaam hai shubah kareñ kis par
mizāj un kā nahīñ miltā hamārā dil nahīñ miltā
chhupā hai siina o ruḳh dil-sitāñ hāthoñ se karvaT meñ
mujhe sote meñ bhī vo husn se ġhāfil nahīñ miltā
havās-o-hosh gum haiñ bahr-e-irfān-e-ilāhī meñ
yahī dariyā hai jis meñ mauj ko sāhil nahīñ miltā
kitāb-e-dil mujhe kaafī hai 'akbar' dars-e-hikmat ko
maiñ spencer se mustaġhnī huuñ mujh se mil nahīñ miltā
Top Urdushayar.com