Akbar Allahabadi

agar dil waqif-e-nairangi-e-tab-e-sanam hota

Akbar Allahabadi

Allahabad, Uttar pradesh, India

1846-1921
agar dil vāqif-e-nairañgī-e-tab-e-sanam hotā
zamāne kī do-rañgī kā use hargiz na ġham hotā
ye pāband-e-musībat dil ke hāthoñ ham to rahte haiñ
nahīñ to chain se kaTtī na dil hotā na ġham hotā
unhīñ kī be-vafā.ī kā ye hai āThoñ-pahar sadma
vahī hote jo qaabū meñ to phir kaahe ko ġham hotā
lab-o-chashm-e-sanam gar dekhne paate kahīñ shā.ir
koī shīrīñ-suḳhan hotā koī jādū-raqam hotā
bahut achchhā huā aa.e na vo merī ayādat ko
jo vo aate to ġhair aate jo ġhair aate to ġham hotā
agar qabreñ nazar ātīñ na dārā-o-sikandar kī
mujhe bhī ishtiyāq-e-daulat-o-jāh-o-hasham hotā
liye jaatā hai josh-e-shauq ham ko rāh-e-ulfat meñ
nahīñ to zo.af se dushvār chalnā do-qadam hotā
na rahne paa.e dīvāroñ meñ rauzan shukr hai varna
tumheñ to dil-lagī hotī ġharīboñ par sitam hotā
Top Urdushayar.com