Akbar Allahabadi

ye sust hai to phir kya wo tez hai to phir kya

Akbar Allahabadi

Allahabad, Uttar pradesh, India

1846-1921

ye sust hai to phir kyā vo tez hai to phir kyā

native jo hai to phir kyā añgrez hai to phir kyā

rahnā kisī se dab kar hai amn ko zarūrī

phir koī firqa haibat-añgez hai to phir kyā

rañj o ḳhushī sab meñ taqsīm hai munāsib

baabū jo hai to phir kyā chañgez hai to phir kyā

har rañg meñ haiñ paate bande ḳhudā ke rozī

hai painter to phir kyā rañgrez hai to phir kyā

jaisī jise zarūrat vaisī us chīzeñ

yaañ taḳht hai to phir kyā vaañ mez hai to phir kyā

mafqūd haiñ ab is ke sunñe samajhne vaale

merā suḳhan nasīhat-āmez hai to phir kyā

Top Urdushayar.com