dard to maujūd hai dil meñ davā ho yā na ho
bandagī hālat se zāhir hai ḳhudā ho yā na ho
jhūmtī hai shāḳh-e-gul khilte haiñ ġhunche dam-ba-dam
bā-asar gulshan meñ tahrīk-e-sabā ho yā na ho
vajd meñ laate haiñ mujh ko bulbuloñ ke zamzame
aap ke nazdīk bā-ma.anī sadā ho yā na ho
kar diyā hai zindagī ne bazm-e-hastī meñ sharīk
us kā kuchh maqsūd koī mudda.ā ho yā na ho
kyuuñ civil-surgeon kā aanā roktā hai ham-nashīñ
is meñ hai ik baat honour kī shifā ho yā na ho
maulvī sāhib na chhoḌeñge ḳhudā go baḳhsh de
gher hī leñge police vaale sazā ho yā na ho
membarī se aap par to vārnish ho jā.egī
qaum kī hālat meñ kuchh is se jilā ho yā na ho
mo'tariz kyuuñ ho agar samjhe tumheñ sayyād dil
aaise gesū huuñ to shubah daam kā ho yā na ho