jab yaas huī to aahoñ ne siine se nikalnā chhoḌ diyā
ab ḳhushk-mizāj āñhkeñ bhī huiiñ dil ne bhī machalnā chhoḌ diyā
navak-faganī se zālim kī jañgal meñ hai ik sannāTā sā
murġhān-e-ḳhush-alhāñ ho ga.e chup aahū ne uchhalnā chhoḌ diyā
kyuuñ kibr-o-ġhurūr is daur pe hai kyuuñ dost falak ko samjhā hai
gardish se ye apnī baaz aayā yā rañg badalnā chhoḌ diyā
badlī vo havā guzrā vo samāñ vo raah nahīñ vo log nahīñ
tafrīh kahāñ aur sair kujā ghar se bhī nikalnā chhoḌ diyā
vo soz-o-gudāz us mahfil meñ baaqī na rahā andher huā
parvānoñ ne jalnā chhoḌ diyā sham.oñ ne pighalnā chhoḌ diyā
har gaam pe chand āñhkeñ nigarāñ har moḌ pe ik licence-talab
us park meñ āḳhir ai 'akbar' maiñ ne to Tahalnā chhoḌ diyā
kyā diin ko quvvat deñ ye javāñ jab hausla-afzāñ koī nahīñ
kyā hosh sambhāleñ ye laḌke ḳhud us ne sambhalnā chhoḌ diyā
iqbāl musā.id jab na rahā rakkhe ye qadam jis manzil meñ
ashjār se saaya duur huā chashmoñ ne ubalnā chhoḌ diyā
allāh kī raah ab tak hai khulī āsār-o-nishāñ sab qaa.em haiñ
allāh ke bandoñ ne lekin us raah meñ chalnā chhoḌ diyā
jab sar meñ havā-e-tā.at thī sarsabz shajar ummīd kā thā
jab sar-sar-e-isyāñ chalne lagī is peḌ ne phalnā chhoḌ diyā
us hūr-laqā ko ghar laa.e ho tum ko mubārak ai 'akbar'
lekin ye qayāmat kī tum ne ghar se jo nikalnā chhoḌ diyā