charḳh se kuchh umiid thī hī nahīñ
aarzū maiñ ne koī kī hī nahīñ
maz.habī bahas maiñ ne kī hī nahīñ
fāltū aql mujh meñ thī hī nahīñ
chāhtā thā bahut sī bātoñ ko
magar afsos ab vo jī hī nahīñ
jur.at-e-arz-e-hāl kyā hotī
nazar-e-lutf us ne kī hī nahīñ
is musībat meñ dil se kyā kahtā
koī aisī misāl thī hī nahīñ
aap kyā jāneñ qadr-e-yā-allāh
jab musībat koī paḌī hī nahīñ
shirk chhoḌā to sab ne chhoḌ diyā
merī koī society hī nahīñ
pūchhā 'akbar' hai aadmī kaisā
hañs ke bole vo aadmī hī nahīñ