na bahte ashk to tāsīr meñ sivā hote
sadaf meñ rahte ye motī to be-bahā hote
mujh aise rind se rakhte zarūr hī ulfat
janāb-e-shaiḳh agar āshiq-e-ḳhudā hote
gunāhgāroñ ne dekhā jamāl-e-rahmat ko
kahāñ nasīb ye hotā jo be-ḳhatā hote
janāb-e-hazrat-e-nāseh kā vaah kyā kahnā
jo ek baat na hotī to auliyā hote
mazāq-e-ishq nahīñ sheḳh meñ ye hai afsos
ye chāshnī bhī jo hotī to kyā se kyā hote
mahall-e-shukr haiñ 'akbar' ye darafshāñ nazmeñ
har ik zabāñ ko ye motī nahīñ atā hote