Akbar Allahabadi

KHushi kya ho jo meri baat wo but man jata hai

Akbar Allahabadi

Allahabad, Uttar pradesh, India

1846-1921
ḳhushī kyā ho jo merī baat vo but maan jaatā hai
mazā to behad aatā hai magar īmān jaatā hai
banūñ council meñ speaker to ruḳhsat qirāt-e-misrī
karūñ kyā membarī jaatī hai yā qur.ān jaatā hai
zavāl-e-jāh o daulat meñ bas itnī baat achchhī hai
ki duniyā meñ ba-ḳhūbī aadmī pahchān jaatā hai
na.ī tahzīb meñ diqqat ziyāda to nahīñ hotī
mazāhib rahte haiñ qaa.im faqat īmān jaatā hai
theater raat ko aur din ko yāroñ kī ye spēcheñ
duhā.ī laaT sāhab kī mirā īmān jaatā hai
jahāñ dil meñ ye aa.ī kuchh kahūñ vo chal diyā uTh kar
ġhazab hai fitna hai zālim nazar pahchān jaatā hai
chunāñ burdūñd sabr az dil ke qisse yaad aate haiñ
taḌap jaatā huuñ ye sun kar ki ab īmān jaatā hai
Top Urdushayar.com