jalva ayaañ hai qudrat-e-parvardigār kā
kyā dil-kushā ye scene hai fasl-e-bahār kā
nāzāñ haiñ josh-e-husn pe gul-hā-e-dil-fareb
joban dikhā rahā hai ye aalam ubhār kā
haiñ dīdanī banafsha o sumbul ke pech o taab
naqsha khīñchā huā hai ḳhat-o-zulf-e-yār kā
sabza hai yā ye āb-e-zamurrad kī mauj hai
shabnam hai bahr yā guhar-e-ābdār kā
murġhān-e-bāġh zamzama-sanjī meñ mahv haiñ
aur naach ho rahā hai nasīm-e-bahār kā
parvāz meñ haiñ tītaryāñ shaad o chust o mast
zeb-e-badan kiye hue ḳhil.at bahār kā
mauj-e-havā o zamzama-e-andalīb-e-mast
ik sāz-e-dil-navāz hai mizrāb-o-tār kā
abr-e-tunak ne raunaq-e-mausam baḌhā.ī hai
ġhāza banā hai rū-e-urūs-e-bahār kā
afsos is samāñ meñ bhī 'akbar' udaas hai
sūhān-e-rūh hijr hai ik gul-e-ezār kā