gale lagā.eñ kareñ pyaar tum ko eid ke din
idhar to aao mire gul-ezār eid ke din
ġhazab kā husn hai ārā.isheñ qayāmat kī
ayaañ hai qudrat-e-parvardigār eid ke din
sambhal sakī na tabī.at kisī tarah merī
rahā na dil pe mujhe iḳhtiyār eid ke din
vo saal bhar se kudūrat bharī jo thī dil meñ
vo duur ho ga.ī bas ek baar eid ke din
lagā liyā unheñ siine se josh-e-ulfat meñ
ġharaz ki aa hī gayā mujh ko pyaar eid ke din
kahīñ hai naġhma-e-bulbul kahīñ hai ḳhanda-e-gul
ayaañ hai josh-e-shabāb-e-bahār eid ke din
sivayyāñ duudh shakar meva sab muhayyā hai
magar ye sab hai mujhe nāgavār eid ke din
mile agar lab-e-shīrīñ kā tere ik bosa
to lutf ho mujhe albatta yaar eid ke din