Akbar Allahabadi

nai tahzib se saqi ne aisi garm-joshi ki

Akbar Allahabadi

Allahabad, Uttar pradesh, India

1846-1921
na.ī tahzīb se saaqī ne aisī garm-joshī kī
ki āḳhir muslimoñ meñ ruuh phūñkī bāda-noshī kī
tumhārī policy kā haal kuchh khultā nahīñ sāhab
hamārī policy to saaf hai īmāñ-faroshī kī
chhupāne ke evaz chhapvā rahe haiñ ḳhud vo aib apne
nasīhat kyā karūñ maiñ qaum ko ab aib-poshī kī
pahanñe ko to kapḌe hī na the kyā bazm meñ jaate
ḳhushī ghar baiThe kar lī ham ne jashn-e-tāj-poshī kī
shikast-e-rañg-e-maz.hab kā asar dekheñ na.e murshid
musalmānoñ meñ kasrat ho rahī hai bāda-noshī kī
re.āyā ko munāsib hai ki bāham dostī rakkheñ
himāqat hākimoñ se hai tavaqqo.a garm-joshī kī
hamāre qāfiye to ho ga.e sab ḳhatm ai 'akbar'
laqab apnā jo de deñ mehrbānī hai ye joshī kī
Top Urdushayar.com