apne pahlū se vo ġhairoñ ko uThā hī na sake
un ko ham qissa-e-ġham apnā sunā hī na sake
zehan merā vo qayāmat ki do-ālam pe muhīt
aap aaise ki mire zehan meñ aa hī na sake
dekh lete jo unheñ to mujhe rakhte ma.azūr
shaiḳh-sāhib magar us bazm meñ jā hī na sake
aql mahñgī hai bahut ishq ḳhilāf-e-tahzīb
dil ko is ahd meñ ham kaam meñ lā hī na sake
ham to ḳhud chāhte the chain se baiTheñ koī dam
aap kī yaad magar dil se bhulā hī na sake
ishq kāmil hai usī kā ki patañgoñ kī tarah
taab nazzāra-e-ma.asūq kī lā hī na sake
dām-e-hastī kī bhī tarkīb ajab rakkhī hai
jo phañse us meñ vo phir jaan bachā hī na sake
maz.har-e-jalva-e-jānāñ hai har ik shai 'akbar'
be-adab aañkh kisī samt uThā hī na sake
aisī mantiq se to dīvāngī behtar 'akbar'
ki jo ḳhāliq kī taraf dil ko jhukā hī na sake