Akbar Allahabadi

hun main parwana magar shama to ho raat to ho

Akbar Allahabadi

Allahabad, Uttar pradesh, India

1846-1921
huuñ maiñ parvāna magar sham.a to ho raat to ho
jaan dene ko huuñ maujūd koī baat to ho
dil bhī hāzir sar-e-taslīm bhī ḳham ko maujūd
koī markaz ho koī qibla-e-hājāt to ho
dil to bechain hai iz.hār-e-irādat ke liye
kisī jānib se kuchh iz.hār-e-karāmāt to ho
dil-kushā bāda-e-sāfī kā kise zauq nahīñ
bātin-afroz koī pīr-e-ḳharābāt to ho
guftanī hai dil-e-pur-dard kā qissa lekin
kis se kahiye koī mustafsir-e-hālāt to ho
dāstān-e-ġham-e-dil kaun kahe kaun sune
bazm meñ mauqa-e-iz.hār-e-ḳhayālāt to ho
vaade bhī yaad dilāte haiñ gile bhī haiñ bahut
vo dikhā.ī bhī to deñ un se mulāqāt to ho
koī vaa.iz nahīñ fitrat se balāġhat meñ sivā
magar insān meñ kuchh fahm-e-ishārāt to ho
Top Urdushayar.com