be-takalluf bosa-e-zulf-e-chalīpā lījiye
naqd-e-dil maujūd hai phir kyuuñ na saudā lījiye
dil to pahle le chuke ab jaan ke ḳhvāhāñ haiñ aap
is meñ bhī mujh ko nahīñ inkār achchhā lījiye
paañv pakaḌ kar kahtī hai zanjīr-e-zindāñ meñ raho
vahshat-e-dil kā hai iimā rāh-e-sahrā lījiye
ġhair ko to kar ke zid karte haiñ khāne meñ sharīk
mujh se kahte haiñ agar kuchh bhuuk ho khā lījiye
ḳhush-numā chīzeñ haiñ bāzār-e-jahāñ meñ be-shumār
ek naqd-e-dil se yā-rab mol kyā kyā lījiye
kushta āḳhir ātish-e-furqat se honā hai mujhe
aur chande sūrat-e-sīmāb taḌpā lījiye
fasl-e-gul ke aate hī 'akbar' hue behosh aap
kholiye āñkhoñ ko sāhab jām-e-sahbā lījiye