Akbar Allahabadi

yun meri taba se hote hain maani paida

Akbar Allahabadi

Allahabad, Uttar pradesh, India

1846-1921
yuuñ mirī tab.a se hote haiñ ma.ānī paidā
jaise sāvan kī ghaTāoñ se ho paanī paidā
kyā ġhazab hai nigah-e-mast-e-mis-e-bāda-farosh
shaiḳh faanī meñ huā rañg-e-javānī paidā
ye javānī hai ki paatā hai junūñ jis se zuhūr
ye na samjho ki junūñ se hai javānī paidā
be-ḳhudī meñ to ye jhagḌe nahīñ rahte ai hosh
tū ne kar rakkhā hai ik ālam-e-fānī paidā
koī mauqa nikal aa.e ki bas āñkheñ mil jaa.eñ
rāheñ phir aap hī kar legī javānī paidā
har ta.alluq mirā sarmāya hai ik novel kā
merī har raat se hai ek kahānī paidā
jañg hai jurm mohabbat hai ḳhilāf-e-tahzīb
ho chukā valvala-e-ahd-e-javānī paidā
kho ga.ī hind kī firdaus-nishānī 'akbar'
kaash ho jaa.e koī 'milton'-e-sānī paidā
Top Urdushayar.com