sadiyoñ philosophy kī chunāñ aur chunīñ rahī
lekin ḳhudā kī baat jahāñ thī vahīñ rahī
zor-āzmā.iyāñ huiiñ science kī bhī ḳhuub
tāqat baḌhī kisī kī kisī meñ nahīñ rahī
duniyā kabhī na sulh pe maa.il huī magar
bāham hamesha barsar-e-paikār-o-kīñ rahī
paayā agar faroġh to sirf un nufūs ne
jin kī ki ḳhizr-e-rāh faqat sham-e-dīñ rahī
allāh hī kī yaad bahar-hāl ḳhalq meñ
vaj.h-e-sukūn-e-ḳhatir-e-andoh-gīñ rahī