vo havā na rahī vo chaman na rahā vo galī na rahī vo hasīñ na rahe
vo falak na rahā vo samāñ na rahā vo makāñ na rahe vo makīñ na rahe
vo guloñ meñ guloñ kī sī bū na rahī vo azīzoñ meñ lutf kī ḳhū na rahī
vo hasīnoñ meñ rañg-e-vafā na rahā kaheñ aur kī kyā vo hamīñ na rahe
na vo aan rahī na umañg rahī na vo rindī o zohd kī jañg rahī
sū-e-qibla nigāhoñ ke ruḳh na rahe aur dar pe naqsh-e-jabīñ na rahe
na vo jaam rahe na vo mast rahe na fidā.i-e-ahd-e-alast rahe
vo tarīqa-e-kār-e-jahāñ na rahā vo mashāġhil-e-raunaq-e-dīñ na rahe
hameñ laakh zamāna lubhā.e to kyā na.e rañg jo charḳh dikhā.e to kyā
ye muhāl hai ahl-e-vafā ke liye ġham-e-millat o ulfat-e-dīñ na rahe
tire kūcha-e-zulf meñ dil hai mirā ab use maiñ samajhtā huuñ dām-e-balā
ye ajiib sitam hai ajiib jafā ki yahāñ na rahe to kahīñ na rahe
ye tumhāre hī dam se hai bazm-e-tarab abhī jaao na tum na karo ye ġhazab
koī baiTh ke lutf uThā.egā kyā ki jo raunaq-e-bazm tumhīñ na rahe
jo thiiñ chashm-e-falak kī bhī nūr-e-nazar vahī jin pe nisār the shams o qamar
so ab aisī miTī haiñ vo anjuman.en ki nishān bhī un ke kahīñ na rahe
vahī sūrateñ rah ga.iiñ pesh-e-nazar jo zamāne ko phereñ idhar se udhar
magar aise jamāl-e-jahāñ-ārā jo the raunaq-e-rū-e-zamīñ na rahe
ġham o rañj meñ 'akbar' agar hai ghirā to samajh le ki rañj ko bhī hai fanā
kisī shai ko nahīñ hai jahāñ meñ baqā vo ziyāda malūl o hazīñ na rahe