Akbar Allahabadi

hasinon ke gale se lagti hai zanjir sone ki

Akbar Allahabadi

Allahabad, Uttar pradesh, India

1846-1921
hasīnoñ ke gale se lagtī hai zanjīr sone kī
nazar aatī hai kyā chamkī huī taqdīr sone kī
na dil aatā hai qaabū meñ na niiñd aatī hai āñkhoñ meñ
shab-e-furqat meñ kyuuñ kar ban paḌe tadbīr sone kī
yahāñ bedāriyoñ se ḳhūn-e-dil āñkhoñ meñ aatā hai
gulābī kartī hai āñkhoñ ko vaañ tāsīr sone kī
bahut bechain huuñ niiñd aa rahī hai raat jaatī hai
ḳhudā ke vāste jald ab karo tadbīr sone kī
ye zarda chiiz hai jo har jagah hai bā.is-e-shaukat
sunī hai ālam-e-bālā meñ bhī ta.amīr sone kī
zarūrat kyā hai rukne kī mire dil se nikaltā rah
havas mujh ko nahīñ ai nāla-e-shab-gīr sone kī
chhapar-khaT yaañ jo sone kī banā.ī is se kyā hāsil
karo ai ġhāfilo kuchh qabr meñ tadbīr sone kī
Top Urdushayar.com